bachpan ki yadein

meri kahani

Monday, September 22, 2008

aaiye ham bhi kuch bachchon ko aisi yadein de


logon ko tanhayee me sabse adhik kya yaad aata hai-dost,bachpan aur apni hi shaitaniyan.
par kuch bachchon ke paas aisa jeevan nahi hota jo unhe aisi yadein de sake jo kadachit swag ki anubhooti se kam nahi hoti hai. unka jeevan kooda uthate, logon ke gharon me kaam karte aur apane liye roti ki vyavastha karne me hi guzar jata hai. kya ye ham sabhi ka daitva nahi ki ham unke jeevan ko bhi in yadon se bharne ka prayatn karein.
Abhi yaad aate hain wo din jab khana khane ki tehzeeb bhi nahi thi aur school pahunch kar principal sir ki daant se bachane ke liye apne hi rumal se apane shoes saaf kiya karte the.Aur unke jate hi unke peeche unhe muh chidhaya karte the.

sabhi ke jeevan ki kuch yadein comman hoti hai
.



chooran ki chatpat, amrak ki karchahat yaad aati hai,
jab bachpan gum ho jata hai yaad usi ki aati hai............

nanhe hanthon me hota tha basta khud se bhi bhari,
phir bhi paidal hi jate the, karte the ham shaitani,
roz ladayee mara peeti guttham guttha hoti thi,
lad kar jab roti thi saheli, khud ki bhi aankhe roti thi,
kho kho ka wo khel yaad hai, jabran dhakka dete the,
out karne ke chakkar me ghanto dauda dete the,

baba ji ke biscope ki yaad kahani aati hai,
imali ki si khatti yadein , bhel puri tarasati hai

chooran ki chatpat, amrak ki karchahat yaad aati hai,
jab bachpan gum ho jata hai yaad usi ki aati hai............


Bachpan ke wo yaar dost jinse ladte hi beeta pal,
yad budhape me aate hain , man hota hai phir bekal,
laut ke jab us gali se guzarein , aansoo ki lahar si aati hai,
kaithe ki kadwahat bhi tab meethi si ho jati hai,

chooran ki chatpat, amrak ki karchahat yaad aati hai,
jab bachpan gum ho jata hai yaad usi ki aati hai............

Chote chote kadamon se ham napte the aakash ka kad,
dag the chote magar sada tha mere vishvason me dam,

lagta tha choti par ja kar parcham lahra doon apana,
aur satya kar daloon apani aankho me basta jo sapana,

koi rok na paya mujhako, tha na iradon me kuch kam,

dag the chote magar sada tha mere vishvason me dam,

dharti apni si lagti thi , aasman ko odhe thi,
phoolon se thi dosti apni, titliyon sang kheli thi,
sabko apana hi kehti thi , aisa tha ye bhola man,

dag the chote magar sada tha mere vishvason me dam,

pahali yaad

Yaad hai mujhako bachpan ke din,
subah jagaye jate the,
ham rote the nahi nahana,
par nahlaye jate the!

roz wahi roti aur sabji jab milti thi khane ko,
roz nahi milta tha hamko park khelne jane ko,
roz wahi homework ka jhan jhat,
roz wahi aana kani,
kitani koshish par bhi ho na pati thi manmani,

mummy din bhar dhamkati thi.....
sham ko papa aane do
aur tumharee din bhar ki mujhe shaitani batlane do...
padhane likhane me to nani yaad tumhe aa jati hai
khel kood ki batein tumko itana kyon lalchati hai.......

mummy ki dhamki se dar kar , pal bhar ko chup hoti thi,
papa ke aa jane par main ban ban kar phir roti thi,
mummy ne danta hai mujhako papa ko batlati thi.........
abhi bahut choti hoon papa ye keh kar samjhati thi.......

papa mere god bitha kar pahale gale lagate the,
phir apni meethi baton ka shahad mujhe chakhalate the.....
samjhate the bitto meri padhana bahut zaroori hai
na padhana to bitiya meri bahut badi kamzori hai...

samjhadar ban jaogi ,pariyon ki rani aayegi...
door desh ki sair karane wo tumko le jayegi...
mummy papa laad kareinge.....choclate dilwayeinge
jab meri bitiya rani ke achche number aayeinge..................................
________________________________________________

By Swadha Ravindra
Helo : 09889057470